Table of Contents
Pradhan Mantri Shishu Vikas Yojana 2020:- Bharat ke Maniye Pradhan Mantri Narendra Modi ji ke dwara प्रधानमंत्री शिशु विकास योजना 2020 ki shuruat ki gayi hai. Is Yojana ka lakshya hai jin bachhon ko Shiksha, Health, acha jivan yapan karne ko nahi milta unhe Sarkar ke dwara samay samay par unki jarurat ko pura kiya jayega. Is Yojana ke antargat Bachhon ke health ke liye 2.5 Lakhs tak Life Insurance kiya jayega aur higher education ke liye bachhe ko 5 Lakhs tak ki Rashi muhaiya karai jayegi.
Bharat me aaj bhi kai hisson me bachhon ko achhi shiksha, health nahi mil pata, Isliye Sarkar ne kai Yojanaye ki shuruat ki hai, Unhi me se Pradhan Mantri Shishu Vikas Yojana bhi shuruat ki gayi hai. Is Yojana me garib parivar ke ke bachhon ko प्रधानमंत्री शिशु विकास योजना 2020 ke antargat rakha gaya hai. Yadi aap bhi is Yojana ka labh uthana chahte hai to iske Online Registration karba sakte hai, Jiske liye is post puri jankari hindi me share ki gayi hai.
To is article ki madad se aap Pradhan Mantri Shishu Vikas Yojana ki puri jankari prapt kar sakte hai. Aap sabhi iske Yojana ka labh uthane ke liye official site ke link se Online Application Form bhar sakte hai. Application form bharne ke liye aap niche bataye gaye Steps ko follow kar skate hai.
Pradhan Mantri Shishu Vikas Yojana 2020
Bharat Sarkar ke dwara 3 se 5 Saal tak ke bachoon ke liye desh ke har ek Rajya me Shishu Vikas Kendra (Child development center) banaye ja rahe hai. Is Yojana ke liye Sarkar Anganwadi Kendron se bhi sahyog prapt karegi. Pradhan Mantri Shishu Yojana me Ladkiyo ko bhi shamil kiya gaya hai. Yah Yojana pure desh me lagu kiya gaya hai. Agar aap is yojana ka labh uthana chahte hai to is yojana ke liye aavedan kare. Aavedan kaise karna hai, Ye ham aapko niche diye gaye Steps me batayenge.
Scheme Name | प्रधानमंत्री शिशु विकास योजना 2020 |
Announcement | प्रधानमंत्री नरेंद्र मोदी |
Scheme Launch Year | 2019 |
Beneficiary | Poor Children |
Objective | Education, Health Facilities |
Official Site | http://www.pmsvy-cloud.in |
PM Shishu Vikas Yojana 2020
Intellectual development of the infant during childhood:- Shishu ke liye bachpan me uska dimag ka vikas hona bahut jaruri hai. Bachhon ke 3 se 5 Varsh tak dimag ki sochne ki skshmta jyada hoti hai. Shishu Vikas Yojana me Garib bchhon ko Anganwadi Kendra me bheja jayega aur unhe padhne, likhne aur khelne ki sari suvidha prapt hogi.
Baby’s physical development:- Is Yojana ke antargat Shishu Vikas Kendra aur Anganwadi kendra ke dwara Garib bachhon ke liye Aahar vitran kiya jata hai. Kyonki 3 Saal se bachhe ka vikas adhik teji se badhta hai aur Kuposhan ke shikar se bachne ke liye Aahar ka hona jaruri hai.
Development in the level of education of the child:- Sarkar dwara har prayas rahti hai ki Bharat me har bachaa shikshit ho iske atirikt sarkar anek Yojanao ki bhi shuruat karti hai. Is Yojana ke antargat Garib bachho ko Shiksha ke liye Dhan Rashi uplabdh karati hai. Aur higher education ke liye 5 Lakh Rupaye diye jayenge.
Levels in the development of girls’ education:- Shiksha Yojana ke antargat Ladkiyo ki shiksha ke liye bhi aham faisle liye gaye hai. Jisme ladkiyo ko 6th, 8th, 10th, 12th Class m padhne ke liye Financial Help ki jayegi. Aur 21 Varsh ke bad yadi ladkiyan business karna chahti hai, To unko is Yojana ke tahat 2 Lakh Rupaye milenge.
Pradhan Mantri Shishu Vikas Yojana 2020 के लाभ-
- Is Yojana ka labh desh ke garib parivar ke bachho ko prapt hoga jo padhan chahte hai.
- Bachho ka tikakaran kiya jayega, Jisse bachhe kisi rog se pirit na ho.
- Shishu Vikas Kendra ke madhyam se Bachhon ko postic aahar vitran kiya jayega.
- Shishu yojana ke tahat Bachhe ko 2.5 Lakh ka Life Insurance karaya jayega.
- Sarkar dwara higher education ke liye 5 Lakhs ki rashi muhaiya karai jayegi.
- Ladkiyo ko bhi padhai karne ke liye har class me Class me admission ke liye rashi di jayegi.
How To Apply Online For Pradhan Mantri Shishu Vikas Yojana 2020?
Yadi aap bhi iske liye Online Registration Form bharna chahte hai, To ham aapko Pradhan Mantri Shishu Vikas Yojana me aavedan karise kare uske bare me bata rahe hai, Aavedan karne ke liye niche di gayi Steps ko follow kar:-
- Sabse pahle Shishu Vikas Kendra ke official site par visit kre.
- Official Website- http://www.pmsvy-cloud.in
- Iske bad aapke samne ek Home page khulega.
- Aap vaha Registration bale Link par click kare.
- Click karte hi Application Form bhar sakte hai.
- Sari jankari bharne par Submit button par click kare.
- Submit karne ke bad Registration No. note kar le.
NOTE:- Candidates abhi is Yojana me aavedan nahi kar sakte hai kyonki abhi Sarkar dwara aavedan ka Link nahi diya gaya hai. Jab bhi aage is Yojana ke liye aavedan kiya jayega, ham aapko Update kar denge.
प्रधानमंत्री शिशु योजना से जुडा हेल्पलाइन नंबर-
यदि आपको इस योजना से संबंधित कुछ भी जानकारी लेनी हो आप नीचे दिए गये नंबर पर फोन कर सकते हो और ई-मेल कर सकते हो।
फोननंबर- 18001212494
ई-मेल –info@pmsvy-cloud.in